Tuesday, 19 January 2016

Ek number se do FACEBOOK account ko open karne par purani ID ko kaise login kare

 Ek number se do FACEBOOK account ko open karne par purani ID ko kaise login kare

 Hello Friends, Ye Post Facebook ke New Users ke liye hai jinhone Facebook abhi abhi use karna siru kiya hai ya unko facebook ki jada jankari nahi hai.. Me Phele bhi kuch post share kar chuka hu facebook par jese Fb ID block q hoti hai or kaise bachaye blog hone se…
 Mere Pass bhut logo ke message, Comment ke jariye ye sabal aaya hai – hamne apne Mobile Number se apni facebook ID banai, fir ussi number se dusri facebook ID banali.. par ab ham jab ID or Password dalte hai to New ID open hoti hai par Purani ID kaise open kare..
 Is Problem ka Solution jane uske phele ham jan lete hai facebook account banta kaise hai, or hamari kis galti ki baja se ye dikkat aati hai..

Facebook par account banane ke liye hame EMail ID Chaiye ya fir Mobile Number.

Ab bhut log Mobile number se apna account bana lete hai facebook par.. to ab jab bhi unko account open karna hai to wo apna mobile number or password daal kar apni ID open kar lete hai..
 Ab Problem ye ho jati hai ki ussi mobile number se ek dusri ID banane par jo purani ID me number add hota hai wo remove ho jata hai, q ki ek hi number 2 id me add nahi kar sakte.. fir ham jab apna mobile number dalte hai or password dalte hai to purani ID nahi khulti q ki usme se wo number remove ho chuka hai or new banai gai ID hi open hoti hai..

is Problem se nipatne ke 2 tarike hai –

1.Apni ID ki username or password daal kar ID open kare
 
2.Apni ID me EMail ID bhi add karke rakhe.. (ye problem aane ke phele ka solution hai)

1 Number se 2 Facebook ID – Purani ID kaise open kare


Agar aapne ek Mobile number se koi Facebook ID banai or galti se ussi number se dusri ID banadi hai to jo phele fb ID hai usme se aapka number remove ho jayega.. Ab agar aap apna Mobile number or password dalege account ko open karne ke liye to aapka jo new facebook account hai sirf wo open hoga to ab purane account ko kaise open kare.. chaliye uski process jaan lete hai..

 

 Step 1: Sabse phele aap apni purani Account ki Profile ko kisi bhi Browser me open kare (Login ki jarurat nahi hai)..

 Step 2: Ab Browser ka jo address bar hai usme aapki profile ki link hogi.. –

 jo aapki profile ki link hai wo 2 trha ki ho sakti hai –

. Agar username set kiya hai to kuch sabd rahege username me is trah 
https://www.facebook.com/sunnykumar.sunnykumar.712161
.Agar username set nahi kiya hai to kuch number ka username rahega is tarah.
.100001348796048


jo ye example profile link hai isme jo username hai wo 100001348796048 or sunnykumar.712161. inko copy karle

 Step 3: ab karna ye hai ki apna username or us id ka password dalna hai, ID ko open karne ke liye.. fir ID open ho jayegi.

Account open hone ke baad sabse phele Apna EMail Address or Mobile Number add kare account me.

EMail ID kaise add kare Facebook account me

 Step 1: Apne Facebook me login karke setting >> General >> Email par jaye.
 Step 2: ab Add another email address or mobile ki link par click kare



jo popup khulega usme apna email ID dale fir Add ki button par click kare..

: Step 3 ab Aapke Email Account par ek mail aayega facebook se.. usme jo link hai uspar click karke conform jarur karna hai..

Is trah Email ID add kar sakte hai Facebook account me.. ab agar aap number remove bhi kar dete hai fir bhi aap login kar sakte hai apne facebook account me apni email id or password ki madad se.

Agar aapko fir bhi kahi koi dikkat aa rahi hai to aap comment karke bata sakte hai, or aapko agar is jankari se help mili ho to Thanks kahana na bhule sane sunny ko

 



1 mobile me 3 whats app chalane ka latest trick

1 mobile me 3 whats app chalane ka latest trick

 Bhut bar hamare saamne ek dikkat aati hai or bo ye ki hame hamari personal life or hamari professional life ko alag alag rakhna hota hai uske liye hame 2 whatsapp number chaiye. ek se ham hamare dosto or family member se jude rha sake or dusre number se ham apne business ka kaam kar sakte. Uske liye hame do mobile rakhna padta hai, par inki koi jarurat nahi hai aaj me aapko is post me bataoga kaise ham ek mobile me 2 nahi 3 whatsapp chala sakte hai. 

Kya Kya Chaiye 3 WhatsApp Chalane ke liye 

Aapko 3 WhatsApp ko install karne ke liye aapko alag alag 3 app install karne hoge. 

1. com.whatsapp (WhatsApp) (Default) : Ye official Apk hai whatsapp ka.

2. com.whatsfapp (WhatsFapp) : Agar 2 whatsapp chalana hai to phele com.whatsapp or com.whatsfapp apk install kare. 

3. com.whatsfapp (wFapp) : Agar 3 whatsapp chalana hai to com.whatsapp apk fir com.whatsfapp apk fir cum.whatsfapp apk 

[Aap meri steps ko Follow kare, agar koi bhi step sahi se nahi ki to ho sakta hai aapke mobile me 3 whatsapp naa chale.] 

step 1.

 Apne Mobile Me Official WhatsApp ka App PlayStore se Download kare or apne Phela Number Register karke thode der chate kare. Ho sakta ho aapke mobile me phele se whatsapp install ho to aap is step ko skip kar de.

step 2.

 Phele kuch Chat kare, Ab apne WhatsApp ke message ka backup kar le. 

Settings >> Chat Settings >> Back up Chat 

step 3.

 Ab aap apne Mobile ki setting me jaa kar Apps >> WhatsApp >> Clear Data par click kare. 

[Ye Step Sabse Jada Jaruri hai] 

step 4.

Ab aapko Dusra WhatsApp Download karke Install karna hai. 

com.whatsfapp Apk  ye ek app ka name hai ise ap google pe Download kare fir usko Install kare.

Install karte samay aapko apna phela number register karna hai jo aapne Official Whatsapp par kiya tha. Install hone par back chat ka option aayega. aap uspar click karke apne message bapas aa jayege.
 

DOWNOAD COM.WHATSFAPP.COM

step 5.

Ab Jo Official WhatsApp hai usko Open kare or ab usme 2nd Mobile Number se register kare. 

Install karne ke baat thodi der chat kare… 

Note: Agar aap Sirf 2 WhatsApp Chalana chate ho to aapko aage ki steps karne ki koi jarurat nahi hai. 

????3 WhatsApp Install karne ke liye Bapas se Step 2 or Step 3 dhoraye, ye bhut jaruri hai. 

2 Whatsapp ho gaye 3 Whatsapp Install karne ke liye aage ki process follow kare.

step 6.

 Step 2, 3 ko bapas karne ke baad ab aap cum.whatsfapp apk Download karke install kare or isme jo 2nd mobile number hai jo aapne abhi official whatsapp me use kiya tha dusri baar wo register kare. 

DOWNOAD CUM.WHATSFAPP.COM

step 7.

 Ab Official WhatsApp me apna 3rd Number register kare.ab apke ek hi mobile me 3 whats app ban  gya hoga.



[note...friends official whatsapp ke alawa jo whatsapp ka app hai wo whats app ki team ne nahi banaiye hai to agar apka number block ya koi bhi dikkat ati hai to uska jimmedaar ap khud honge.Thanks]

 

 

Monday, 4 January 2016


Ek Mobile Me Do Whatsapp Kaise Use Karte Hai-Latest Trick
Aaj Mai aapko Bataunga ek android phone me do whatsapp kaise chalaye. Bahot se log hai jinko ek whatsapp kafi nahi hai. Aaj har kisike pass daul sim mobile hai ek number business aur dusra number personal use ke liye. Agar apko Ek whatsapp se problem ho rahi hai toh dont worry aap aapne mobile me do whatsapp chala sakte hai. Do whatsapp chalaneke liye phone root ki jarurat nahi without rooted phone par bhi hum do whatsapp chala sakte hai.

  Daul Whatsapp Ke Features

Phone root karne ki jarurat nahi
. Kuch bhi error nahi aayega
. Fully privacy
. Latest Version 

 Do Whatsapp Chalaneke Liye Kya Kya Lagega ( Requirements)

.Android Mobile Pnone
. Internet connection

 Steps For Ek Android Mobile Phone Me Do Whatsapp Kaise Chalaye

 First of all apne mobile me WhatsMapp Download kare Download kiye hua app ko open kare Settings par tap kare aur aapne mobile me unknown sourses enable kare last me app install kare

.App Install Karne ke bad apna dusra number usme dalkar verify karle Jaise aap ne pehle whatsapp per kiya tha

. Now After Successfully Verification !!! Boom !! aapka new whatsapp chalu ho jayega 



Ab aapke mobile phone me 2 whatsapp chal rahe hoge. Agar aapka koi problems or Suggestions hai toh comment karke hume bataye mai sane sunny