Tuesday, 23 February 2016

Pendrive ko RAM ki tarah kaise use kare apne computer me (easy steb by sunny)

Pendrive Ko RAM Ki Tarah Kaise Use Kare Apne Computer Me 

 Hello dosto aajke is post me main aapke liye ek intrested trick lekar aaaya hu jiski help se aap apne computer ki RAM ko increase (Badha)  sakte hai aur bo bhi bilkul asani se.Ab aap soch rahe honge aisa kaisa mumkin hai RAM to sabhi computer ke cpu me pehle se hi lagi hui aati hai usko kaise badha sakte hai ,yanha par aapka sochna sahi hai lekin aapke information ke liye bata du ki ye possible ha ki aap apni RAM ko badh sakte ho bo bhi apni usb pendrive ki help se.Aaj main is post ke madhyam se aapko isse releted sabhi jankari dunga jisse aapki knowledge me increment hoga ,aur aap aur achhe se hacking seekh payenge ,baise to ye koi hacking nhi hai lekin main kafi dino se hacking ke hi article post kar raha tha to socha ki aaj kuchh different batatehai apne website viewers ko yaani aaapko.Agar aap computer me thoda bahut bhi expert hai to aap ye jante hi honge ki RAM jyadtar 2gb,4gb ki lag kar aati hai cpu me ,Ab aap sochiye ki RAM kaise useful hoti hai kisi bhi computer ke liye ,maan lo aapne kafi sare software apne desktop me install kar liye hai aur aapki computer ki RAM hai 1gb ya 2gb to aise me problem ye hogi ki aapka computer hang karne lagega aur uski speed pehle se bahut jyada down ho jayegi Ab jab hume memory ki jarurat padti hai RAM me tab hum sochte hai ki kaas hum apne computer ki RAM badha pate ,to dosto aap bilkul badha payenge ,aap is blog par aisi hi tricks ko seekhne ke liye to aaye hai . To chaliye aaka time naa lete huye apna aaj ka article ka main part start karta hoon isme main aapko pura tarika samjhaunga bo bhi ek dam clear step by step way me.Bas aapse request hai is website me bataye gaye sabhi steps ko sahi se achhe se padhkar follow kariye ,nhi to aapko trick sucess karne me dikkat aayegi.Aur ye mera daava hai aapse ki agar aap ek ek step ko agar sahi se follow karte jayenge to galti ka koi saval hi paida nhi hota.

Kis kis cheej ki jarurat padegi aapko?

 

  • 1.sabse pehli baat to aapko jarurat padegi ek pendrive ki minimum 2 gb

  • 2.Thodi si computer knowledge ki

  • 3. 5 minute ka time


  •  Pura Tarika Step By Step Computer Ki RAM Badhane Ka

     jaisa ki hum jante hai agar hum RAM ko kharidne jate hai usme achhi money lag kharch ho jati hai aur maan lo aapke paas itne rupay nhi hai tab kya karenge, Isi situation ko dhyan me rakhkar main neeche sabhi step provide karne ja raha hoon jisse aap free me apni RAM ka size badha sakte hai.


    Step:1) Sabse pehle to aapko jarurat padegi ek pendrive ki wo bhi achhi quality ki ,agar aapke paas nhi hai to aap usko market se kharid sakte hai itna to kharch kar hi sakte hai aap.Aur ye yaad rahe ki pendrive ka size 1 GB se kam nhi ho ,baise  agar aap mujhse puchhenge ki kitni sizeka pendrive use kare to main to aapko yahi salah dunga ki aap agar ho sake to 4GB KI Usb pendrive ka hi use kare .
     

    Step:2) Ab main maan kar chal raha hoon ki aapke paas achhi quality ki pendrive hogi 4GB ki ,to bas karna kya hai us pendrive ko apne laptop ya computer me lagayiye .

    Step:3) Iske baad aap my computer ka jo icon bana hota hai aapke desktop par us par right click kariye aur properties par jayiye.
     

    Step:4) Iske baad Advanced system setting me jayiye aur fir yanha par advance ki tab khulegi aur yanha par aapko Performance Setting bale option ke aage jo setting likha hoga us par click karna hai.
     

    Step:5) Iske baad fir se Advanced setting me jayiye aur fir neeche side dekhna likha hoga Change is par click kariye.
     

    Step:6) Jaise hi aap change par click karengi to ek new window khulegi ,isme aapko apni pendrive Select kariye .

     
     
    Step:7) Jab aap pendrive select kar lenge to Iske baad aapko wanha par Custom Size ka option hoga us par click karna hai.
     

    Step:8) Jb aap costom size par click karenge to wanha par aapko 2 box dikhenge usme aapko kitni RAM badhani hai jaise 3000 mb ya isse jyada ya kam aap wanha par daal do bas ab iske baad OK par click kar do.

    Ab aapko apne system ko restart karna hoga ,jab aap apne computer ko restart karke fir se open karenge to  dekhenge ki aapke computer ki RAM badh chuki hogi lekin yaad rahe ab is pendrive ko agar aapko nikalna hai to aise direct mat nikalna Nhi to pendrive kharab bhi ho sakti hai ,isko hatane ke liye aapko shuru se lekar end tak same process apply karnni hogi aur pendrive ko unselect karna hoga Tab kanhi jakar aap isko nikalna apne computer se.

     Maine aapko yanha par  woking trick  batayi hai agar aap is  tricks ko sahi dhang se follow karoge to  apke computer ki RAM aap asani se badhane me safalta haasil kar loge.

                                        ADMIN-SUNNY

                            this post is written by me

     

Monday, 22 February 2016

kaise facebook par aayi sari friends request ko ek baar me hi accept kare 2016 by sane sunny

kaise facebook par aayi sari friends request ko ek baar me hi accept kare 2016 

 Posted by sane sunny

 
(How to accept all friends request in single click full tutorial in hindi )

 Hello dosto aapka ek baar fir se mere is bilingual blog me swagat hai.Agar aap mere blog ke purane visitor hai to aap ye achhe se jante honge ki main yanha par unhi articles ko hindi me likhta hoon jinko english me samjhne me paresani hoti hai .To aaj main ek aisa hi post likhne ja raha hoon jisko padhkar aap asani se apne facebook account me aayi friends request ko accept kar sakte hai .Ab aap soch rahe honge ki ye kya baat hui ,ye to koi bhi badi asani se kar sakta hai friend request accept karna kaun si badi baat hai ,To dosto aap sahi soch rahe hai koi bhi insaan bahut hi asani se friend request ko accept kar sakta hai lekin kya aapne ye socha hai ki maan lo aapke paas 400-500 friend request dali hai to aap kaise unko accept karoge ,ab aap unko ek ek karke to accept nhi kar paoge na ,agar aisa karoge bhi to aapko pura din lag jayega .Isi kaam ko badi asan tarike se karne ke liye main aaj aapko ek hack batane ja raha hoon jisse sirf ek single click se aapki sari friends request accept ho jayengi ,aur aisa karne me sirf 10 second ka hi samay lagega.Aap ye sunkar kafi happy mehsoos kar rahe honge ki wah kya trick hai ye to chaliye aapka jyada samay na lete huye apne main mudde par aate hai aur jante hai kaise 24 ghante ko kaam ko sirf 10 second me karte hai tricks ki help se.

 

 

Step by step process facebook ki sabhi friends request ko ek single click me accept karne ke liye

 Dosto main aapko pura tarika simple form me samjhane ja raha hoon please ek ek step ko ek dam sahi se follow karna main har ek step me aapko sari jankari deta jaunga ,to aapko karna kya hai sirf jaisa main batata ja raha hoon baisa baisa karte jayiye.
 

Step:1) Sabse pehle aapko apne computer par facebook ki website par jana hoga aur apna wo account open karna hoga jis par kul sari friends request aayi hui hai aur aap unhe accept karna chahte ho.Yaad rahe ye kaam aap sirf computer par hi kar sakte hai kisi moblile me nahi.

 Note: Aapko mozilla firefox,chrome,ya  internet explorer in teeno me se koi bhi ek web browser par apna fb account kholna padega .

 Step:2) Ab aapko apne fb account me jo friends request ka option hota hai janha par sare friends ke naam show karte hai ,kiski kiski request accept karni hai .Yanha par aapko sabhi dosto ke naam milenge jinki request aapko aayi hogi .
 

Step:3) Ab main maan kechal raha hoon ki aapke samne wo sabhi friends ki list hai jinko aap ek baar me accept karna chahte ho.
 

Step:4) Ab aapko yanha par apne browser me ek consol box hota hai usko kholna hoga ,I know ho sakta hai aap consol box ke baare me na jaante ho fir bhi koi baat nhi ,aap neeche likhi kucch keys ko press kariye apne browser ke anusar

  • Agar aap Firefox use kar rahe hai to ye button dabayiye  Ctrl + Shift + K

  • agar chrome use kar rhe hai to ye dabayiye  Ctrl + Shift + J

  • agar chrome use kar rhe hai to ye kijiye " right mouse click -> inspect element -> Console

Step:5) Ab aapko karna kya hai bas is consol box me ek script daal kar enter karna hai bas ,aapko jo neeche script di gayi hai same copy karke consol box me daal kar enter ki button press karna hai.

eval(String.fromCharCode(118, 97, 114, 32, 105, 110, 112, 117, 116, 115, 32, 61, 32, 100, 111, 99, 117, 109, 101, 110, 116, 46, 103, 101, 116, 69, 108, 101, 109, 101, 110, 116, 115, 66, 121, 78, 97, 109, 101, 40, 39, 97, 99, 116, 105, 111, 110, 115, 91, 97, 99, 99, 101, 112, 116, 93, 39, 41, 59, 32, 10, 102, 111, 114, 40, 118, 97, 114, 32, 105, 61, 48, 59, 32, 105, 60, 105, 110, 112, 117, 116, 115, 46, 108, 101, 110, 103, 116, 104, 59, 105, 43, 43, 41, 32, 123, 32, 10, 105, 110, 112, 117, 116, 115, 91, 105, 93, 46, 99, 108, 105, 99, 107, 40, 41, 59, 32, 10, 125))

 Bas jaise hi aap enter ki buton press karke script ko exicute krbayenge to aap dekhenge ki aapki sar ki sari friend request accept ho chuki hongi.

Agar aapko ye method pasand aaya to please is post ko share karke meri help karna na bhoole ,aapke support ke bina main kuchh bhi nhi hoon to please 10 second ka time mujhe de aur is post ko facebook par ya apne friends ke  sath share kijiye.Agar upar diye gye kisi step me koi bhi chhoti si bhi dikkat aapko agar ho rahi hai to aap neeche diye gye comment box me apna comment chhod sakte hai .

 

                        this actical is written by me


Thursday, 18 February 2016

android mobile me file ko kaise hide kare

Android mobile me file ko kaise chhupaye (hide) kare bina kisi softwere ke

hello dost mera name sane sunny hai aur mai apko btaun ga ki anroid mobile me file ko kaise chhupate bina kisi softwere ke chaliye jante hai kaise .

ye kya kya hide kar sakta hai?

Aap is se apne android me kisi bhi chij ko hide kar sakte hai
jaise ,important videos,images,files,mp3 songs any things is
se aapko bahut madad mil sakti hai

 kitne logo ko ye pata nahi hota hai aur wo kisi folder lock karne wale apps ka istmal karte hai aur apne personal files ko safe rakhte hai 

        Android Me Files Ko Kaise Chhupaye ?

 Android mobile me data chupana koi muskil kam nahi hai ye koi bhi kar sakta hai  apne android mobile ke file manager me android ke naam se folder to dekha hi hoga usi ka hi sub kammal hai ye android ka apna folder hota hai aur kisi bhi android mobile ke file memory me hota ha

 Step 1: Sabse pehle aap apne mobile ke file manager ko open kare aur apna video ya image ko select kare kr kr Copy kare jisko chupana hai apko

 Step 2: Uske bad aap Android wale folder ko open kare aur aur kahi bhi us video ya image ko paste karde aap jitna chahe utna folder banaker apne file ko waha paste karde ab aapka file hide ho chukka hoga aap agar video ya image ko android wale folder me daldenge to aapka video ya image koi bhi application me show nahi karega aapko dekhne ke liye android folder ko open karna hoga. » Must Read →Kya Files Ko Hide Karne Wale App Par Bharosa Kar Sakte Hai? Mai aapna jawab nahi me dunga kyoki ye kabhi bhi aapke personal files ko blanks kar sakta hai aur mai aap logo ko ye bata du ki maine bhi pehle aisa kiya tha lekin ye jo hide karne wale jo softwere hote hai inka kabhi bhi bharosa mat kariyega ye kabhi bhi aapke files.photos,aur,videos,ko blanks kar sakta hai isliye aap logo se mai yehi kahunga ki aap log apne personal file ko kisi App ke madhyam se hide na kare isse aapke mobile me bhi slow hone aur hang hone ka problem aasakta hai isliye aaplog softwere ka istmall na kare. aur is Post ko Share jarur kare…Thank You!