kaise facebook par aayi sari friends request ko ek baar me hi accept kare 2016
Posted by sane sunny in:http://extratrickbysunny.blogsbot.com
(How to accept all friends request in single click full tutorial in hindi )
Hello dosto aapka ek baar fir se mere is bilingual blog me swagat hai.Agar aap mere blog ke purane visitor hai to aap ye achhe se jante honge ki main yanha par unhi articles ko hindi me likhta hoon jinko english me samjhne me paresani hoti hai .To aaj main ek aisa hi post likhne ja raha hoon jisko padhkar aap asani se apne facebook account me aayi friends request ko accept kar sakte hai .Ab aap soch rahe honge ki ye kya baat hui ,ye to koi bhi badi asani se kar sakta hai friend request accept karna kaun si badi baat hai ,To dosto aap sahi soch rahe hai koi bhi insaan bahut hi asani se friend request ko accept kar sakta hai lekin kya aapne ye socha hai ki maan lo aapke paas 400-500 friend request dali hai to aap kaise unko accept karoge ,ab aap unko ek ek karke to accept nhi kar paoge na ,agar aisa karoge bhi to aapko pura din lag jayega .Isi kaam ko badi asan tarike se karne ke liye main aaj aapko ek hack batane ja raha hoon jisse sirf ek single click se aapki sari friends request accept ho jayengi ,aur aisa karne me sirf 10 second ka hi samay lagega.Aap ye sunkar kafi happy mehsoos kar rahe honge ki wah kya trick hai ye to chaliye aapka jyada samay na lete huye apne main mudde par aate hai aur jante hai kaise 24 ghante ko kaam ko sirf 10 second me karte hai tricks ki help se.
Step by step process facebook ki sabhi friends request ko ek single click me accept karne ke liye
Dosto
main aapko pura tarika simple form me samjhane ja raha hoon please ek
ek step ko ek dam sahi se follow karna main har ek step me aapko sari
jankari deta jaunga ,to aapko karna kya hai sirf jaisa main batata ja
raha hoon baisa baisa karte jayiye.
Step:1)
Sabse pehle aapko apne computer par facebook ki website par jana hoga
aur apna wo account open karna hoga jis par kul sari friends request
aayi hui hai aur aap unhe accept karna chahte ho.Yaad rahe ye kaam aap
sirf computer par hi kar sakte hai kisi moblile me nahi.
Note: Aapko mozilla firefox,chrome,ya internet explorer in teeno me se koi bhi ek web browser par apna fb account kholna padega .
Step:2) Ab
aapko apne fb account me jo friends request ka option hota hai janha
par sare friends ke naam show karte hai ,kiski kiski request accept
karni hai .Yanha par aapko sabhi dosto ke naam milenge jinki request
aapko aayi hogi .
Step:3) Ab main maan kechal raha hoon ki aapke samne wo sabhi friends ki list hai jinko aap ek baar me accept karna chahte ho.
Step:4)
Ab aapko yanha par apne browser me ek consol box hota hai usko kholna
hoga ,I know ho sakta hai aap consol box ke baare me na jaante ho fir
bhi koi baat nhi ,aap neeche likhi kucch keys ko press kariye apne
browser ke anusar
Agar aap Firefox use kar rahe hai to ye button dabayiye Ctrl + Shift + K
agar chrome use kar rhe hai to ye dabayiye Ctrl + Shift + J
agar chrome use kar rhe hai to ye kijiye " right mouse click -> inspect element -> Console
Step:5) Ab aapko karna kya hai bas is consol box me ek script daal kar enter karna hai bas ,aapko jo neeche script di gayi hai same copy karke consol box me daal kar enter ki button press karna hai.
eval(String.fromCharCode(118, 97, 114, 32, 105, 110, 112, 117, 116, 115, 32, 61, 32, 100, 111, 99, 117, 109, 101, 110, 116, 46, 103, 101, 116, 69, 108, 101, 109, 101, 110, 116, 115, 66, 121, 78, 97, 109, 101, 40, 39, 97, 99, 116, 105, 111, 110, 115, 91, 97, 99, 99, 101, 112, 116, 93, 39, 41, 59, 32, 10, 102, 111, 114, 40, 118, 97, 114, 32, 105, 61, 48, 59, 32, 105, 60, 105, 110, 112, 117, 116, 115, 46, 108, 101, 110, 103, 116, 104, 59, 105, 43, 43, 41, 32, 123, 32, 10, 105, 110, 112, 117, 116, 115, 91, 105, 93, 46, 99, 108, 105, 99, 107, 40, 41, 59, 32, 10, 125))
No comments:
Post a Comment